Ya Ali (AS) Ya Ali (AS)
Ya ali, ya ali, ya ali
(Tuj jesa nahi mola) x2 duniya mei sakhi koi
Tere kabze me do jahan mola
Tu sakhawat ka asmaan mola
Arsh waalon ki farsh waalon ki
Tu ne bhardi hai joliyan mola (ya ali)
Qur’an me karta hai tareef khuda teri
(Tuj jesa nahi mola) x2
Tera darbaar hai ata hi ata
Koi khali kabhi nahi jaata
Rizq olaad sehate imaa
Teri chokat se kya nahi milta (ya ali)
Darbaar tera mola tasveer hai jannat ki
(Tuj jesa nahi mola) x2
Kaise ummat phiri thi baade nabi
Haye tere galle mei rassi thi
Hukm tha ye rasool ka warna
Sahibe zulfiqaar aur qaidi (ya ali)
Ghar ghayz tujhe aata duniya hi nahi hoti
(Tuj jesa nahi mola) x2
Apni ankhon se kistarha dekha
Haye pehlu shikasta zehra ka
Intehaan kardi sabr ki tumne
Chup rahe she ke har sitam mola (ya ali)
Allah ki marzi mei shaamil thi teri marzi
(Tuj jesa nahi mola) x2
Subho aayi thi wo qayamt ki
Saare alam pe sogh tha taari
Ibne muljim ki tegh se jis dam
Aap sajde mei hogayi zakhmi (ya ali)
Dewaro se masjid ki awaaz ye aati thi
(Tuj jesa nahi mola) x2
Khoon mei tar that fatahe khaybar
Aaye hasnain apne ghar lekar
Chaar janib the betiyan bete
Beech mei tha imame jinno bashar (ya ali)
Zainb pe qayamat ye ashoor ke jaise thi
(Tuj jesa nahi mola) x2
Zakhm jesa hai ab bhi wo lamha
Shaam pohnchi jo itrate zehra
Us ghari dekh kar najaf ki taraf
Johr kar haath kehti thi fizza (ya ali)
Darbaar mei be parda jaati hai teri beti
(Tuj jesa nahi mola) x2
Chahe barthe rahe ye zulmo sitam
Dil me qaim rahe hussain ka gham
Bas yahi hai dua takallum ki
Sheh ki bichthi rahe safe matam (ya ali)
Barti hi rahe mola har roz azadari
(Tuj jesa nahi mola) x2